Get Mystery Box with random crypto!

Ahle Sunnat Ahle Jannat

टेलीग्राम चैनल का लोगो ahlesunnatahlejannat786 — Ahle Sunnat Ahle Jannat A
टेलीग्राम चैनल का लोगो ahlesunnatahlejannat786 — Ahle Sunnat Ahle Jannat
चैनल का पता: @ahlesunnatahlejannat786
श्रेणियाँ: धर्म
भाषा: हिंदी
ग्राहकों: 1.06K

Ratings & Reviews

3.50

2 reviews

Reviews can be left only by registered users. All reviews are moderated by admins.

5 stars

0

4 stars

1

3 stars

1

2 stars

0

1 stars

0


नवीनतम संदेश 5

2023-04-21 19:15:24 * EID KA TOHFA IMAM GAZALI رضی الله عنہ KI JANIB SE...... *

* HUZUR ﷺ FARMATE HAI KI JIS SAKSH NE EID KE DIN GHAR ME YA MASJID ME QIBLA RUKH BETHKAR 300 MARTABA سُبحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ(सुबहानल्लाहि व'बीहमदिहि)PADHE AUR MOMIN MUSALMAN JO DUNIYA SE RUKSAT(INTEQAL) HO CHUKE HAI UNKI ROOHO KO ISKA SAWAB HADIYA KIYA TO HAR MUSALMAN KI QABR ME 1000 ANWAR DAKHIL HOTE HAI AUR JAB PADHNE WALA MAREGA ALLAH TAA'LA USKI QABR ME 1000 ANWAR DAKHIL FARMAYEGA.....*

* (MUQASHFATUL QULOOB)*
73 views16:15
ओपन / कमेंट
2023-04-21 17:19:32
*ILM E DEEN*
*ISLAMIC KNOWLEDGE*


Part No : 102
•-•-•-•-•-•-•-•

بسم الله الرحمن الرحيم

الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ ‌‎

اللھم افتح علینا حکمتک وانشر علینا رحمتک یاذالجلال والاکرام

•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•
Eid wa Bakr-Eid Ka Bayaan
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Sawal :
•-•-•-•-•-•-•

Eid ul Fitr Ke Din Kaun Kaun Se Kaam Mustahab Haiñ?

Jawab :
•-•-•-•-•-•-•

Hajamat Banwana, Nakhun Tarashwana, Gusl Karna, Miswak Karna, Achche Kapde Pehenna, Khushboo Lagana, Subah Ki Namaz Muhalla Ki Masjid Meiñ Padhna, Eidgah Sawere Jaana, Namaz Se Pehle Sadqa e Fitr Ada Karna, Eidgah Tak Paidal Jana, Doosre Raste Se Wapas Aana, Namaz Ke Liye Jaane Se Pehle Tak Yaani Teen (3) Ya Paañch (5) Ya Saath (7) Khajureiñ Kha Lena Aur Khajureiñ Na Ho Toh Koi Meethi Cheez Khana, Khushi Zaahir Karna, Aapas Meiñ Mubarakbaad Dena Aur Eidgah Itminan wa Wikar Ke Saath Neeche Nigaah Kiye Huwe Jaana. Yeh Sab Baateiñ Eid ul Fitr Ke Din Mustahab Haiñ.

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

_To Be Continued.._

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

طالِبِ دُعا
محمـــــــد طــــاهـــر قـــــادری رضـــــــــوي

Talib-e-Dua
Muhammad Tahir Qaadri Razvi
+91 7208687505

HLE SUNNAT HLE JANNAT

https://m.facebook.com/AhleSunnatAhleJannat786

─═─═─═─═─═─═─

Join Our Telegram Channel:┯┯
https://t.me/AhleSunnatAhleJannat786

─═─═─═─═─═─═─

Subscribe Our YouTube Channel ┯┯
https://www.youtube.com/AhleSunnatAhleJannat786
132 views14:19
ओपन / कमेंट
2023-04-21 17:09:23
Aaj 29 Ramzan thi.
Mumbai mein chand ki aam ruyat huwi hai..
Lehaaza All India Sunni Jamiatul Ulema Ruyate Hilaal Committee Mumbai ki jaanib se *Qazi e Shaher Hazrat Allama Mufti Mehmood Akhtar Sahab qibla ne kal baroz Hafta 22 April 2023 ko *1 Shawwal* hone ka ailaan farmaaya hai...

*Aalam e Islam ko Eid ul Fitr Mubaarak ho*
87 views14:09
ओपन / कमेंट
2023-04-21 16:53:19 • *NASIHAT* •
*
Har Wo Insaan Jiska Hajj, Jihaad, Roza, Namaz, Kisi Bhai Ki Zarurat Puri Karne, Neki Ka Hukm Aur Burayiyon Se Mana Karne Ke Silsile May Pasina Nahi Baha Hain!
Qayamat Ke Din Sharmindagi Aur Dar Ki Wajahse Uska Pasina Bahega Aur Bahoat Zyada Ranj Wa Alam Hoga! (Ki Usse Aisa Kaam Sarjadh Nahi Hua Hain)!

(Mukashfatul Kulub)

*
*NASIHAT*
***
Jo Shaks Gunahon Aur Logon Se Zyadati Karke Tauba Kar Chuka Ho Use Chahiye Ki Wo Nekiyon May Dil Lagaye Aur Unko Qayamat Ke Din Keliye Zakhira Banaye!

Iske Alawa Mukammal Ikhlaas Se Aisi Nekiyan Kare Jo *ALLAH-TA'AALA* Ke Siwa Koi Na Jaanta Ho!
Mumkin Hain Isi Ke Tufail *ALLAH-TA'AALA* Use Apna Mukarrab Bana Le Aur Un Mehboob Momino Ki Jamaat May Use Shamil Farma Le Jise Wo Ba-Wajudh Zyadatiyon Ke Apne Lutf-O-Karam Se Baksh Dega!

*Insha-Allah-Wa-Ta'aala!*

(Mukashfatul-Kulub Pg-245)

*
*Ajaz Ahmed Ashrafi*
96 views13:53
ओपन / कमेंट
2023-04-21 15:01:38 * Eid ki Namaaz Ka Tariqah Wa Masa'il*

* Namaz E Eid Ka Tariqah*
Namaz E Eid Ka Tarika Ye Hai Ke 2 Rakat Wajib Eid Ul Fitr Ya Eid Ul Azha Ki Niyyat Karke Kaano Tak Haath Uthaaye, Aur Allahu Akbar Kahta Hua Haath Baandh Le Phir Sana Padhe.

Phir Kaano Tak Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Kahta Hua Haath Chhod De.

Phir Dobara Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Kah Kar Haath Chhod De.

Aur Phir Haat Uthaye Aur Allahu Akbar Kah Kar Haath Baandh Le.

(Yani Pahli Takbeer Me Haath Baandhe Iske Baad 2 Takbeero Me Haath Latkaaye Aur 4thi Takbeer Me Baandh Le).

Phir Imam اعوذ بالله Aur بسم الله Aahista Padh Kar Jahar Ke Saath (Buland Aawaz Se) Surah E Fatiha Or (Zamm) Surah Padhe.

Phir Ruku Or Sajde Kare Aur Dosri Rakat Me Pehle Surah E Fatiha Or (Zamm) Surah Padhe.

Phir 3 Baar Kaano Tak Haath Lejaa Kar Allahu Akbar Kahe Aur Haath Na Baandhe Aur 4thi Baar Baghair Haath Uthaye Allah Akbar Kehta Hua Ruku Me Jaaye.



*Mas'ala :-* Eidain Me Zaaid Takbeerein 6 Hui 3 Takbeeraat Pahli Rak'at Mein Qirat (Surah E Fatiha Wa Zamm E Surah) Se Pahle Aur Takbeer Tahreema Ke Ba’ad Aur 3 Takbeerat Dosri Rak'at Mein Qirat Ke Baad Aur Takbeer E Ruku Se Pahle Aur In Mein Se Har Takbeer Me Haath Uthaaye Jayenge Aur Har 2 Takbeero Ke Darmiyan 3 Tasbeeh Ki Qadr Sakta Karein (Ruke Rahein).

*حوالہ :*
الدرالمختار، کتاب الصلاۃ، باب العیدین، جلد : 3، صفحہ : 3، وغیرہ ۔

*Mas'ala :* Ye 6 Takbeeren Wajib Hain Yunhi Dosri Rakat Ki Takbeer E Ruku Bhi Wajib Hai.

*Mas'ala :* Imam 6 Takbeero Se Ziyadah Kahe To Muqtadi Bhi Imam Ki Pairwi Kare Magar 13 Takbeerou Se Ziyadah Me Imam Ki Pairwi Nahi.

*حوالہ :*
ردالمحتار، کتاب الصلاۃ، باب العیدین، مطلب : أمر الخلیفۃ۔۔۔ إلخ، جلد : 3، صفحہ : 63۔

*Mas'ala :* Pahli Rakat Mein Imam Ke Takbeer Kahne Ke Baad Muqtadi Shamil Hua To Usi Waqt 3 Takbeerein Kahle. Agarche Imam Ne Qirat Shuru Kardi Ho Aur 3 Hi Kahe. Agarche Imam Ne 3 Se Ziyadah Kahi Ho.

*Mas'ala :* Agar Usne (Muqtadi Ne) Takbeerein Na Kahi Ke Imam Ruku Me Chala Gaya To Khade Khade Na Kahe. Balke Imam Ke Saath Ruku Mein Jaaye Aur Ruku Mein Takbeer Kahle.

*Mas'ala :* Imam Ko Ruku Me Paaya Aur Gaalib Gumaan Hai Ke Takbeerein Kah Kar Imam Ko Ruku Me Paa Lega To Khade Khade Takbeerein Kahe Phir Ruku Mein Jaaye.
Warna Allahu Akbar Keh Kar Ruku Mein Jaaye Aur Ruku Mein Takbeerein Kahe.
Phir Agar Usne Ruku Me Takbeerein Poori Na Ki Thi Ke Imam Ne Sar Utha Liya To Baaqi Saaqit Ho Gayi.

*Mas'ala :* Imam Ke Ruku Se Uthne Ke Baad Shamil Hua To Ab Takbeerein Na Kahe. Balke Jab Apni Rak'at Padhe Us Waqt Kahe.

*Mas'ala :* Ruku Mein Jahan Takbeer Kehna Bataya Gaya Us Me Haath Na Uthaye.

*Mas'ala :* Agar Dosri Rakat Me Shamil Hua To Pahli Rakat Ki Takbeerein Ab Na Kahe. Balke Jab Apni Faut Shudah Padhne Khada Ho Us Waqt Kahe Aur Dosri Rakat Ki Takbeerein Agar Imam Ke Saath Paa Jaaye To Wahi Takbeerein Kaafi Hai.
Warna Is Me Bhi Wahi Tafseel Hai Jo Pahli Rakat Ke Baare Me Mazkoor Hui.

*حوالہ :*
الفتاوی الھندیۃ، کتاب الصلاۃ، الباب السابع عشر في صلاۃ العیدین، جلد : 1، صفحہ : 151۔

*Mas'ala :* Imam Takbeer Kahna Bhool Gaya Aur Ruku Me Chala Gaya To Qiyam Ki Taraf Na Laute Na Ruku Me Takbeer Kahe.

*حوالہ :*
ردالمحتار، کتاب الصلاۃ، باب العیدین، مطلب : أمر الخلیفۃ۔۔۔ إلخ، جلد : 3، صفحہ : 65۔
93 views12:01
ओपन / कमेंट
2023-04-21 10:17:25 * SAWAL:- *
Hazrat Shawal Ke 6 Roze Ke Bare Me Batae Aur Uski Fazilat

* JAWAB:- *

Shawwal Me 6 Din Ke Roze Jinhen Log Shasha Eid Ke Roze Kahte Hai.

Bahetar Ye He Ki Ye Roze Mutafarriq Rakhe Jaaye Or Eid Ke Baad Lagatar 6 Din Me Ek Sath Rakh Le, Tab Bhi Harj Nahi.

Muslim W Abu Dawood W Tirmizi W Nasai W Ibne Maja W Tabrani Abu Ayub RadiAllahu Anhu Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Farmate Hai, Jisme Ramzan Ke Roze Rakhe Fir Unke Baad 6 Din Shawwal Me Rakhe To Aysa He Jaise Dahr Ka Roza Rakha.
* (Sahih Muslim, Kitabus Siyam, Hadees-1164, S-592)*

Or Isi Ke Misl Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marwi.

Nasai W Ibne Khuzaima W Ibne Hibban Soban RadiAllahu Anhu Se Or Imam Ahmad Or Tabrani W Bazaar Jabir Bin Abdullah RadiAllahu Anhuma Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,
Jis Ne Eidul Fitr Ke Baad 6 Roze Rakh Liye To Usne Pure Saal Ka Roza Rakha, Ki Jo Ek Neki Laaye Ga Use Das. Milegi To Maahe Ramzan Ka Roza Das Mahine Barabar He Or Un 6 Dino Ke Badle Me Do Mahine To Pure Saal Ke Roze Ho Gaye.
* (Sunane Kubra Lil Nasai, Kitabus Siyam, Hadees-2860,2861, J-2, S-162,163)*

Tabrai Awsat Me Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhuma Se Raawi, Ki RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,
Jisme Ramzan Ke Roze Rakhe Fir Uske Baad 6 Din Shawwal Me Rakhe To Gunaho Se Ayse Nikal Gaya, Jaise Aaj Maañ Ke Pet Se Paida Huva He.
* (Al Maujamul Awsat, Hadees-8622, J-6, S-233)*

* (Bahare Shariyat, Jild-1, Hissa-5, S-1010)*
* Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
* Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
* 26 May 2020, 2 Shawwal 1441 Hijri*

* SAWAL-O-JAWAB F.T.S grp*

*_ Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
14 views07:17
ओपन / कमेंट
2023-04-21 09:09:27 Audio from Aabid Sabri
28 views06:09
ओपन / कमेंट
2023-04-21 09:09:20 *ALWADA MAAHE RAMZAN ALWADA*


Written & Recited by -
_Andaleeb e Raza_
*MAULANA MUHAMMAD RAFIQUE RAZA QADRI*

Azhari Foundation
28 views06:09
ओपन / कमेंट
2023-04-21 02:34:26 *Sadqa E Fitr Ke Masaail *

Sadqa E Fitr Kab Wajib Hota He ? Or Ramzan Me Sadqa E Fitr Ada Karna Kesa ?
https://baharemasail.blogspot.com/2021/05/sadqa-e-fitr-kab-wajib-hota-he-or.html?m=1

Sadqa e Fitr Ke Masail, Sadqa e fitr kon de sakta he ? Sadqa e fitr kise de sakte he ? Or Sadqa e fitr kitna he ?
https://baharemasail.blogspot.com/2019/06/sadqa-e-fitra-ke-ahkam-o-masail-tafsili.html?m=1

Marhum Ki Taraf Se Sadqa E Fitr Dena Kesa?
https://baharemasail.blogspot.com/2020/05/marhum-ki-taraf-se-sadqa-e-fitr-karna.html?m=1

Aurat Ka Ya Biwi Ka Sadqa E Fitr Kon Ada Kare ? Uska Shohar Ya Walid Ya Khud ?
https://baharemasail.blogspot.com/2020/05/biwi-ka-sadqa-e-fitr-kon-ada-kare.html?m=1

Zakat Or Fitra Me Kya Farq He ?
https://baharemasail.blogspot.com/2021/05/zakat-or-fitra-me-kya-farq-he.html?m=1

Gair Muslim Ko Sadqa Dena Kesa ?
https://baharemasail.blogspot.com/2018/09/gair-muslim-ko-bhik-ya-sadqa-dena-kesa.html?m=1

Gareeb Deobandi Ko Sadqa Dena Kesa ?
https://baharemasail.blogspot.com/2020/03/gareeb-deobandi-ko-sadqa-dena-kesa.html?m=1

Kya Sadqa E Fitr Ke Liye Maal Par Ek Saal Guzarna Zaroori He ?
https://baharemasail.blogspot.com/2021/05/sadqa-e-fitr-ke-liye-maal-par-ek-saal.html?m=1

Fitra Ki Raqam Masjid Madarsa Me Dena Kesa ?
https://baharemasail.blogspot.com/2020/05/fitra-ki-raqam-masjid-madarsa-me-dena.html?m=1

* SAWAL-O-JAWAB F.T.S grp*
*_ Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
69 views23:34
ओपन / कमेंट
2023-04-21 02:18:49 Audio from Aabid Sabri
67 views23:18
ओपन / कमेंट