Get Mystery Box with random crypto!

Ahle Sunnat Ahle Jannat

टेलीग्राम चैनल का लोगो ahlesunnatahlejannat786 — Ahle Sunnat Ahle Jannat A
टेलीग्राम चैनल का लोगो ahlesunnatahlejannat786 — Ahle Sunnat Ahle Jannat
चैनल का पता: @ahlesunnatahlejannat786
श्रेणियाँ: धर्म
भाषा: हिंदी
ग्राहकों: 1.06K

Ratings & Reviews

3.50

2 reviews

Reviews can be left only by registered users. All reviews are moderated by admins.

5 stars

0

4 stars

1

3 stars

1

2 stars

0

1 stars

0


नवीनतम संदेश 18

2023-03-21 12:16:42 *Chand Dekhne Ka Bayan*




Chand Dekhne Ke Mutaliq Masail

*Mas'ala:* 5 Mahinou Ka Chand Dekhna Wajib e Kifayah Hai.

Shaban Ul Muazzam
Ramzan Ul Mubarak
Shawwal Ul Mukarram
Zee Qadah
Zil Hijjah.

Shaban Ka Is Liye Ki Agar Ramzan Ka Chand Dekhte Waqt Abar Ya Gubaar Ho To Ye 30 Ki Ginti Puri Kar Ke Ramzan Shuru Kare, Aur Ramzan Ka Is Liye Ki Roza Rakhna Hai, Shawwal Ka Is Liye Ki Roza Khatm Karna Hai, Aur Zee Qadah Ka Is Liye Ki Zil Hajja Me Chand Dekhna Hai Aur Zil Hajja Ka Is Liye Ki Baqra Eid Karni Hai.

*حوالہ :*
الفتاوى الرضوية جلد : 10، صفحہ :451

*Mas'ala :* Shaban Ki Untis (29) Ko Sham Ke Waqt Chand Dekhein Dikhaie De Tou (Aaienda Din) Rouza Rakhe
Warna Shaban Ke 30 Din Mukammal Karein.

*حوالہ :*
’الفتاوی الہندیۃ‘ کتاب الصوم الباب الثاني في رؤیۃ الہلال، ج : 1 ص : 197

*Mas'ala :* Kisi Ne Ramzan Ya Eid Ka Chand Dekha Magar Uski Gawahi Qubool Na Hui Fasiq (Dadhi Katta, Ya Khule Aam Gunahe Kabira Karne Wala Fasiq Hai) Hone Ki Wajah Se, Ya Kisi Eik Hi Admi Ne Chand Dekha Aur Uski Gawahi Maani Nahi Gayi To Ab Ye Bhi Roza Rakhe Agarche Isne Chand Dekha Ho. Isko Roza Todna Jayez Nahi, Aur Todega To Kaffara Lazim Nahi.

*حوالہ :*
بہار شریعت جلد : 1 حصہ : پنجم صفحہ 978 ط : مکتبة العلميه
70 views09:16
ओपन / कमेंट
2023-03-21 09:24:03 *28 Shabanul Mu'Azzam 1444 Hijri/ 21 March 2023, Indore India.*

Hadees Shareef

Hazrat Anas Bin Malik RadiyALLAHuanhu Se Riwayat Hai

"Mahe Ramzan Me Murdo Se Azaab e Qabr Utha Liya Jata Hai."

Sharahus Sudoor Safah 187.


Mas'ala

Janbujh Kar Muh Bhar Ulti Ki Aur Rozadar Hona Yad Hai To Roza Toot Gaya,
Aur Be Ikhtiyar Muh Bhar Ulti Ho Gai To Roza Na Toota Ha Agar Usne Wo Ulti Lotali To Roza Toot Gaya Agarche Sirf Chane Barabar Halaq Se Utri Ho,
Aur Muh Bhar Nahi Thi To Agarche Usne Lotali Roza Na Toota,
Ulti Ke Ye Ahkam Us Waqt Hai Ke Ulti Me Khana Aae Ya Kadwa Pani Ya Khoon Aur Agar Balgam Aya To Mutlaqan Roza Na Toota.

Bahar e Shariat Jild 1 Hissa 5.

*ISLAMIC GUFTUGU GROUP.*
70 views06:24
ओपन / कमेंट
2023-03-21 06:14:08
Video from Aabid Sabri
79 views03:14
ओपन / कमेंट
2023-03-21 04:35:20
* Rαᴍαᴅαท Kαяεεᴍ Cᴏ̶ᴍïทɢ Sᴏ̶ᴏ̶ท *
80 views01:35
ओपन / कमेंट
2023-03-20 19:50:09 *Chand Dekhne Ka Bayan*


*Qur'an Kareem:*

*يَسۡــئَلُوۡنَكَ عَنِ الۡاَهِلَّةِ ‌ؕ قُلۡ هِىَ مَوَاقِيۡتُ لِلنَّاسِ وَالۡحَجِّ ؕ ۞*

*Tarjama :* _Aye Mehboob Tum Se Chand Ke Bare Me Sawal Karte Hain, Tum Farma Do Wo Logoun Ke Kamo Aur Hajj Ke Liye Awqaat Hain._

*{القرآن، الجزء-2، سورة البقرة-189}*

*Hadees Paak :* _Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Karo Aur Chand Dekh Kar Iftar Karo, Aur Agar Abar (Badal) Hou Tou Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo._

*حوالہ :*
صحیح البخاري، كتاب الصوم، حديث نمبر : 1909

*Hadees Paak:* *_Ummul Momineen Hazrat Ayesha رضی اللہ تعالٰی عنہا_* _Se Riwayat Hai *Rasool صلى الله عليه وسلم* Shaban Ke Mahine Ki Is Qadar Hifazat Karte Ki Itni Kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte. Phir Chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru Karte. Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte._

*حوالہ :*
سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب إذا أغمي الشهر، حديث نمبر : 2325

In Aayat E Mubarakah Ahadees E Mubarakah Se Pata Chala Keh Jab Ramazan Ul Mubarak Ka Chand Nazar Aaye Tabhi Se Roza Rakhna Shuru Kiya Jaaye, Agar 29 Shaban Ko Chand Nazar Na Aaye Ya Aasman Abar Aalud Ho To Tees Din Shaban Ke Mukammal Karein Phir Roza Rakhein.
94 views16:50
ओपन / कमेंट
2023-03-20 17:21:03 #Ramzan_Special_Part_10

Jin Chizon Se Roza Nahi Toot'ta Unka Bayan.

Hadees
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat Hai Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya, Jis Rozedar Ne Bhool Kar Khaya Ya Piya Wo Apna Roza Pura Kare, Use Allah Ne Khilaya Aur Pilaya

_Sahi Muslim, Hadees No-1155_

Hadees
_3 Chizo Se Roza Nahi Toot'ta,
1- Pachhna (Badan Se Fasid Khoon Nikalwana Jise Hijama Bhi Kehte Hai}

2- Qaye (Ulti, Jo Khud Se Ho Qasdan Kiya Aur Muh Bhar Qaye Hui To Toot Gaya)

3- Ehtelam (Sote Me Mani Ka Nikalna, Ya Bemari Ya Boojh Uthate Waqt Nikal Jaye To Roza Nahi Toota Apne Haton Nikala To Toot Gaya)

_Tirmizi, Jild-2, Page-177, 719_

Fiqhe Hanfi Ki Roshni Me Roza Kin Kin Baton Se Nahi Toot'ta Wo Zail Me Hain

Mas'ala
Bhool Kar Khaya Piya Ya Jima (Sex) Kiya To Roza Nahi Toota, Chahe Roza Nafl Ho Ya Wajib Ya Farz.

_Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-981_

To Be Continued=>

Kaleem Hanfi Razvi
92 views14:21
ओपन / कमेंट
2023-03-20 15:33:11
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك*
*يارسول‎ الله ﷺ*

*POST NO - 6:*

* MAAHE RAMDHAN *

*HADEES:*
Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Ke RAMDHAN Aisa MAHINA Hai Jiska AWWAL REHMAT Hai, Iske DARMIYAAN Me BAKHSHISH Hai Aur Iske AAKHIR Me AAG Se AAZADI Hai.
82 views12:33
ओपन / कमेंट
2023-03-20 12:59:12
Photo from Aabid Sabri
88 views09:59
ओपन / कमेंट
2023-03-20 12:58:57 Hazrat Peer Sayyed Abul Hassaab Jamaal-ud-deen Moosā Paak Shaheed Qaadri rahmatullāhi alaihi :


****
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Muhiy-ud-deen Ṡaani.

****
Aap ki wilaadat 952 Hijri (1545 A.D.) me Uch me hui.

****
Aap ke waalid ka naam Sayyed Hamid Jahaan Bakhsh bin Sayyed Abdur Razzaaq Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Hasani saadaat hain aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

887 Hijri (1483 A.D.) me Aap ke pardaada Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Ghauṡ Bandagi Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi Uch tashreef laaye aur sukoonat pazeer hue aur Hindustan me Qaadri silsile ki ibtida ki.

****
Aap ne apne waalid se ta’aleem wa tarbiyat haasil ki.
Aap Hadeeṡ, Fiq'h aur Tasawwuf ke maahir hue.

Aap ko kitaabo ka muttalla karne me aur tahreer karne me bahot dilchaspi thi.

***
978 Hijri me apne waalid ke wisaal ke baad Aap Sajjaada nasheen bane.

***
Aap aise muhaqqiq, mujaahid aur mubhalligh e islaam the jinho ne apni ta’aleemaat se musalmano ko galat aqeede se bachakar un ki hifazat ki.

988 Hijri (1581 A.D.) me Mughal baadshaah Akbar ne sab mazhab ko milaakar Deen-e-Ilāhi banaaya to Aap ne use maanne se inkaar kiya aur farmaya ke “Sirf deene Islaam hi sahi hai.”

***
Aap ne ‘Tayseer-ush-Shagleen’ naami kitaab likhi hai.

***
Aap ke 4 saahabzaade hain.
(1) Sayyed Hamid Ganj bakhsh urfe Faizullāh (Sajjaada nasheen)
(2) Sayyed Jaan Muhammad
(3) Sayyed Eisā
(4) Sayyed Yahyā.

***
Aap (apne waalid) Hazrat Makhdoom Sayyed Hamid Jahaan Bakhsh Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Sayyed Hamid Ganj bakhsh rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddiṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi.

****
1010 Hijri (1602 A.D.) me Mange Hatti par Langhah daakuo ne hamla kiya. Us me Aap ko goli lagne ki wajah se aap ka inteqaal hua.

Aap ka wisaal 23 Sha’abaan 1010 Hijri (16 February 1602 A.D.) ko hua.
Aap ko Uch me dafn kiya gaya.

Phir 1025 Hijri (1616 A.D.) me bashaarat milne par Sayyed Hamid Ganj bakhsh ne Aap ke jisme aqdas ko Uch se Multan muntaqil kiya.

****
Aap ka mazaar Multan (Punjab, Pakistan) me hai.

****
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Peer Sayyed Jamaal-ud-deen Moosā Paak Shaheed Qaadri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
84 views09:58
ओपन / कमेंट
2023-03-20 09:31:00 *27 Shabanul Mu'Azzam 1444 Hijri/ 20 March 2023, Indore India.*

Hadees Shareef

Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya

"Ramzan Me Zikrullah Karne Wale Ko Bakhsh Diya Jata Hai Aur Is Mahine Me ALLAH Ta'aala Se Mangne Wala Mahroom Nahi Rahta."

Shobul Iman Jild 3 Safah 311 Hadees 3628.


Mas'ala


Khane, Peene Aur Jima (Yani Hambistri) Karne Se Roza Jata Rahta Hai (Yani Toot Jata Hai.)
Huqqa, Cigar, Cigarette Se Bhi Roza Toot Jata Hai Agarche Apne Khayal Me (Ye Samjhta Ho Ke) Halaq Tak Dhua Na Pahuchta Hai.
Paan, Tambaku Se Bhi Roza Toot Jata Hai Agarche Peek Thookde, Ke (Fir Bhi) Uske Bareek Ajza Zaroor Halaq Me Pahuch Jate Hai.

Bahar e Shariat Jild 1 Hissa 5.

*ISLAMIC GUFTUGU GROUP.*
80 views06:31
ओपन / कमेंट