Get Mystery Box with random crypto!

Ahle Sunnat Ahle Jannat

टेलीग्राम चैनल का लोगो ahlesunnatahlejannat786 — Ahle Sunnat Ahle Jannat A
टेलीग्राम चैनल का लोगो ahlesunnatahlejannat786 — Ahle Sunnat Ahle Jannat
चैनल का पता: @ahlesunnatahlejannat786
श्रेणियाँ: धर्म
भाषा: हिंदी
ग्राहकों: 1.06K

Ratings & Reviews

3.50

2 reviews

Reviews can be left only by registered users. All reviews are moderated by admins.

5 stars

0

4 stars

1

3 stars

1

2 stars

0

1 stars

0


नवीनतम संदेश 10

2023-04-15 01:09:11 Audio from Aabid Sabri
62 views22:09
ओपन / कमेंट
2023-04-15 01:08:34 *Quraan E Paak Ki Tilawat Aur Tarjuma Kanzul Imaan*



*✭ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✭*

*★الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ★*

*Para 23* *ومالی*


*1:29:29*




* *برائے ایصال ثواب*

* مرحومہ صفیہ سلطانہ*
*و*
* مرحوم غلام ربانی*



HLE SUNNAT HLE JANNAT

https://m.facebook.com/AhleSunnatAhleJannat786

─═─═─═─═─═─═─

Join Our Telegram Channel:┯┯
https://t.me/AhleSunnatAhleJannat786

─═─═─═─═─═─═─

Subscribe Our YouTube Channel ┯┯
https://www.youtube.com/AhleSunnatAhleJannat786
66 views22:08
ओपन / कमेंट
2023-04-14 21:27:58
73 views18:27
ओपन / कमेंट
2023-04-14 17:04:35 #Ramzan_Special_Part_43

*Mas'ala*
Wajib Aitekaf (Minnat Ka Aitekaf) Me Motakif Ko Masjid Se Nikalna Haram Hai, Agar Bagair Uzr Nikla To Aitekaf Toota Agarche Bhool Se Hi Nikla Ho, Yun Hi Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Bhi Bila Uzr Nikalne Se Aitekaf Toot Jata Hai.

_Alamgeeri, Volume-1, Page-211_

*Mas'ala*
Aurat Ne Masjide Bait (Ghar Me Wo Hissa Jo Aurat Ne Apni Namaz Padhne Ke Liye Banaya Ho) Me Sunnat Ya Wajib Aitekaf Kiya Aur Wahan Se Bila Uzr Nikli To Aitekaf Toot Gaya.

_Alamgeeri, Volume-1, Page-212_

Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Masjid Se Nikalne Ke 2 Uzr (Wajah) Hain.

*Mas'ala*
1> Hai Taba'ee Hajat, Jaise Pakhana Peshab Istinja Wazu Aur Gusl, Agar Masjid Me Wazu Aur Gusl Ke Liye Bana Ho To Ab Bahar Jana Jayez Nahi Gaya To Aitekaf Toota.

2> Shari Hajat, Masa'lan Eid Ya Juma Ke Liye Jana Ya Azan Kehne Ke Liye Minare Par Jana.

_Durre Mukhtar, Volume-3, Page-501_

*Mas'ala*
Qazaye Hajat (Pakhana Peshab) Ko Bahar Gaya To Farig Hote Hi Chala Aaye Thaherne Ki Ijazat Nahi, Motakif Ke 2 Makan Hain Eik Masjid Se Door Aur Eik Nazdeek To Nazdeek Ke Makan Me Jaye Baz Mashayekh Farmate Hain Agar Door Ke Makan Me Gaya To Aitekaf Toot Gaya.

_Raddul Mohtar, Volume-3, Page-501_

*Mas'ala*
Aisi Masjid Me Aitekaf Kiya Jahan Jamat Se Namaz Na Hoti Ho To Namaze Ba-Jamat Ke Liye Dusri Masjid Me Jane Ki Ijazat Hai.

_Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1024_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
88 views14:04
ओपन / कमेंट
2023-04-14 15:13:07 ●●●☆○●□■☆■□●○☆●●●
●Lailatul Qadr Ka Bayaan●
●●●☆○●□■☆■□●○☆●●●

Part No : ⑥
•••••••••••••

Alamate Shab e Qadr
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hazrate Sayyeduna Ubada Bin Samit (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Sarkare Aali Waqar, Madni Tajdar, Nabiye Mukhtar (ﷺ) Ki Khidmat Ba-Barkat Mein Shab e Qadr Ke Bare Mein Suwal Kiya! To Sarkare Madina Suroore Qalb o Seena (ﷺ) Ne Irshaad Farmaya, Shab e Qadr Ramzan'ul Mubarak Ke Aakhiri Ashrah Ki Taq Raaton Mein Hai! Yaani 21,23,25,27 Yaa 29 Shab Mein Hai Ye Ramzan Ki Aakhiri Shab Mein Hi Hai To Jo Koi Imaan Ke Sath Ba Niyate Sawab Is Mubarak Raat Mein Ibadat Kare! Uske Tamam Guzashta Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hai! Uski Alamat Mein Se Ye Bhi Hai Ki Wo Mubarak Shab Khuli Hui Roshan Aur Bilkul Saaf o Shaffaf Hoti Hai! Neez Ismein Na Zyada Garmi Hoti Hai Na Zyada Sardi! Balki Ye Raat Mu'atdil Hoti Hai! Goya Ki Ismein Chand Khula Huaa Hota Hai! Is Puri Raat Mein Shayaateen Ko Aasmaan Ke Sitare Nahi Maare Jaate! Mazeed Nishaniyo Mein Se Ye Bhi Hai Ki Is Raat Ke Guzarne Ke Baad Subh Aati Hai Us Mein Suraj Bagair Shuaa'a Ke Tulu Hota Hai! Aur Wo Aysa Hota Hai Goya Ki Chaudwi Ka Chand! ALLAH (ﷻ) Ne Is Din Tulu'ay Aaftab Ke Sath Shaitan Ko Nikalne Se Rok Diya Hai (Is Ek Din Ke Ilawa Har Roz Suraj Ke Sath Sath Shaitan Bhi Nikalta Hai)

Samundar Ka Paani Meetha Ho Jaata Hai
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hadeese Bala Mein Farmaya Gaya Hai Ki Ramzan'ul Mubarak Ke Aakhiri Ashrah Ki Taq Raaton Mein Ya Aakhiri Raat Mein Se Koi Ek Raat Shab e Qadr Hai! Iss Raat Ko Makhfi Rakhne Mein Hazarha Hiqmatein Hai! Jin Mein Yakinan Ek Hiqmat Ye Bhi Hai Ki Musalman Har Raat Is Raat Ki Justujo Mein ALLAH (ﷻ) Ki Ibadat Mein Guzarne Ki Koshish Kare Ki Na Jane Kaunsi Shab, Shab e Qadr Ho! Isi Hadeese Pak Mein Shab e Qadr Ki Baaz Alamat Bhi Irshaad Farmayi Gayi Hai! In Alamat Ke Ilawa Bhi Deegar Riwayat Mein Mazeed Alamatein Lailarul Qadr Ka Bayaan Kiya Gaya Hai! In Alamat Ko Pa Lena Sab Ke Bas Ki Baat Nahi Balki Ye Sirf Ahle Nazar Hi Ka Hissa Hai! ALLAH (ﷻ) Basa Awqat Apne Khaas Bando Par Unka Zahoor Farmata Hai! Shab e Qadr Ki Ek Alamat Ye Bhi Hai Ki Is Raat Mein Samundar Ka Khara Paani Meetha Ho Jata Hai! Neez Insaan o Jinnat Ke Ilawa Kainaat Ki Har Shay ALLAH (ﷻ) Ki Buzurgi Ke Aytraf Mein Sajda Rez Ho Jaati Hai Magar Ye Har Ek Ko Maloom Nahi Ho Sakta!

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

طالِبِ دُعا
محمـــــــد طــــاهـــر رضـــــــــوي

Talib-e-Dua
Mohammad Tahir Razvi
+91 7208687505

HLE SUNNAT HLE JANNAT

https://m.facebook.com/AhleSunnatAhleJannat786
─═─═─═─═─═─═─
Subscribe Our YouTube Channel ┯┯
https://www.youtube.com/channel/UC2gSO4dkJebn1flbLWJP0Mg
82 views12:13
ओपन / कमेंट
2023-04-14 13:29:59 Audio from Aabid Sabri
80 views10:29
ओपन / कमेंट
2023-04-14 13:29:51 *RAMADHAN DARSE TAFSEER*

22nd *NIGHT*

*TOPIC:* (Surah Infitaar) Allah ﷻ ka Karam

*Duration:* 16:02

*A'ALA HAZRAT FOUNDATION*
Mohammad Mohsin Misbahi
80 views10:29
ओपन / कमेंट
2023-04-14 12:41:12 #Ramzan_Special_Part_42

_Aitekaf 3 Tarah Ke Hain_

1> Wajib Yani Minnat Ka Aitekaf,

2> Sunnate Moakkedah Ye Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf Hai,

3> Mustahab Aitekaf, Iske Liye Roza Zaroori Nahi Na Koi Khas Waqt Balki Jab Bhi Masjid Me Gaya Aitekaf Ki Niyyat Kare, Jab Tak Masjid Me Rahega Motakif Hai Aur Jab Chala Aaya Aitekaf Pura Ho Gaya, Ye Bagair Mehnat Ka Aitekaf Hai Sirf Niyyat Se Hi Sawab Milna Shuru Hota Hai, Lihaza Jab Bhi Masjid Me Jaye Aitekaf Ki Niyyat Zaroor Karen.....

*Mas'ala*
Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Roza Shart Hai Agar Kisi Musafir Ya Bimar Ne Aitekaf Kiya Magar Roza Nahi Rakha To Sunnat Ada Na Hui Balki Aitekaf Nafl Hua.

_الدر المختار، كتاب الصوم، باب الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-496_

*Mas'ala*
Minnat Ke Aitekaf Ke Liye Bhi Roza Shart Hai, Agar 1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Mani Aur Kaha Ki Bina Roze Ke Sirf Aitekaf Karuga Tab Bhi Roza Rakhna Wajib Hai.

_الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-497_

*Mas'ala*
1 Mahina Aitekaf Ki Minnat Maani To Ye Minnat Ramzan Me Puri Nahi Kar Sakta, Balki Khas Us Aitekaf Ke Liye Roze Rakhne Hoge.

_Alamgeeri, Volume-1, Page-211_

*Mas'ala*
Aurat Ne Aitekaf Ki Minnat Mani To Shohar Use Aitekaf Karne Se Rok Sakta Hai, Aurat Shohar Se Talalq Pane Ya Uske Marne Ke Baad Apni Minnat Puri Kar Saki Hai.

_Alamgeeri, Volume-1, Page-211_

To Be Continued=>

*Kaleem Hanfi Razvi*
89 views09:41
ओपन / कमेंट
2023-04-14 02:34:24
102 views23:34
ओपन / कमेंट
2023-04-14 02:32:54 ╭┉─════──════──════─══ ╮
│         Q&A Session   │
╰┉─════──════──════─══ ╯

Sawal :-
1) *kya Ye Durust Hai K Jab Tak Ramzan K Pichle Rozo Ki Kaza Nahi Rakhenge Us Waqt Tak Agle Roze Qubool Nahi Honge.*

Answer By :-
Khalifa E Huzoor Mufti Azam Hind Hazrat Allama Maulana
Sayyad  Shah Turab-ul-HaQ Qadri Rehamtullah Alaih Ka Jawab Samath kare

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

طالِبِ دُعا
Isaale sawaab Marhoom Mohammad Sabir Haji

+91 7208687505

HLE SUNNAT HLE JANNAT

https://m.facebook.com/AhleSunnatAhleJannat786

          ─═─═─═─═─═─═─

Join Our Telegram Channel:┯┯
https://t.me/AhleSunnatAhleJannat786

          ─═─═─═─═─═─═─

Subscribe Our YouTube Channel ┯┯
https://www.youtube.com/AhleSunnatAhleJannat786
100 views23:32
ओपन / कमेंट