Get Mystery Box with random crypto!

Kab aa rhi hai Blackbook Vocab ki 2024 edition: Pichle kuch d | Qmaths

Kab aa rhi hai Blackbook Vocab ki 2024 edition:

Pichle kuch dino se group ke comments me or humare inbox me sabse jyada puche jane wala sawal yahi hai.. Khair aapke liye khush khabri yah hai ki file taiyaar ho chuki hai aur printing ke liye Aaj sham ko jayegi.. Par mujhe lagta hai aapko yah jaanna jaruri hai ki is edition ko banane me itna jyada waqt kyu laga..

1) Extensive Content Update: New edition me 2023 edition ke mukable, SSC ke 368 sets aur other than SSC exams ke 800+ sets ka vocab add kiya gya hai, matlab lagbhag 1200 sets extra ka vocab hai isme..

2) Itna hi nahi, iske alawa Vocab booster naam ka alag section banana gya hai, jisme naye phrasal verbs, fixed prepositions, the Hindu (with phrasal verbs), foreign words, and extended root words ka list diya gya hai, sabhi words ke Hindi meaning or English meaning/ definition diya gya hai..

3) Abhi rukiye, in sab ke alawa or baaki sabhi relevant sources se Jo Vocabs Bach gye, par abhi tak nahi puche gye hai, unko appendix ke additional word list me diya gya hai..

4) New smart symbols jo aapke preparation ko extra edge denge, symbols ko samjhne ke liye sample file ki PDF dekhiye.

Data me bahut jyada mehnat kiya gya hai, e.g Syno - Anto chapter me har word ka definition diya gya hai, uska SSC me puche gye syno-anto Dene ke saath saath, wo words ka other exams me jo syno anto pucha gya hai wo bhi diya gya hai, har ek word ka alag alag Hindi meaning diya gya hai.. Keval list 1 me hi 3538 words hai, jo ab tak 9880 baar pucha ja chuka hai..

Jo bhi extra mehnat aap kar sakte the, wo hum already karke, aapko sab Content ready karke de rhe hai, taaki aap content taiyaar karne ke jagah, sirf preparation me dhyan den, baaki kaam bahut extensive tha, isliye expected samay se jyada samay laga uske liye maafi chahunga..

Aapko content ka ek chota sample next post me mil jayega, aapke feedback usme de sakte hain aap..!!