Get Mystery Box with random crypto!

               *بسم الله الرحمن الرحيم*                 *الصـ | Ahle Sunnat Ahle Jannat


               *بسم الله الرحمن الرحيم*
                *الصــلوة والسلام‎ عليك* 
                     *يارسول‎ الله ﷺ*

*POST NO - 17:*

*QURBAANI KE FAZAIL & MASAIL:*

*HADEES:*
MUSLIM SHAREEF, VOL-2,
HADEES NO-4,976.

Hazrat Aisha رضی اللہ تعالیٰ عنہا Riwayat Karti Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Ek Menda Laane Ka Hukm Diya. Aur Farmaya Aisa Menda Lao Jiski Taange Kaali Ho. Aur Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke Jiski Peeth Bhi Kaali Ho. Aur Farmaya Ke Mende Ki Aankhon Ka Kinaara Bhi Kaala Ho.

Hazrat Aisha رضی اللہ تعالیٰ عنہا Kehti Hai Ke Fir Allah Ke Nabi ﷺ Ne Unhe Qurbaan Karne Ka Iraada Farmaya Aur Mujhse Farmaya Aye Aisha! Churi Lekar Aao. Aur Churi Ko Patthar Par Tez Karlo, Toh Maine Churi Ko Patthar Par Ghaskar Tez Kar Liya. Fir Allah Ke Nabi ﷺ Ne Mujhse Churi Leli Aur Zabah Karne Ke Liye Us Mende Ko Litaya Aur Zabah Farmadiya.

Hazrat Aisha رضی اللہ تعالیٰ عنہا Kehti Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Jab Mende Ko Zabah Farmaliya Toh Yeh Dua Farmayi.

"Bismillahi Allah Humma Takabbal Min Muhammaddeu Wa Aali Muhammaddin Wa Min Ummate Muhammaddin."

"Allah ﷻ Ke Naam Se Shuru, Aye Allah ﷻ Mai Isko Qurbaan Karta Hu Muhammed Ki Taraf Se Aur Meri Aal Ki Taraf Se Aur Meri Tamaam Ummat Ki Taraf Se"

ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,019.

TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,564.

IBNE MAAJA SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-907.

IMAM TAHAVI NE SHARAYE MAANIYUL AASAAR, VOL-4, HADEES NO-388.

MUSNADE AHMED,
HADEES NO-21,761.

IBNE HIBBAN SHAREEF,
HADEES NO-5,902.

IMAM HAAKIM NE
AL-MUSTADRAK,
HADEES NO-4,577.

IMAM BAHIQI NE BAHIQI SHAREEF, HADEES NO-18,786.

ABU YAALA, HADEES NO-3,118.

DAAR KUTNI, PG NO-50.

IMAM TABRANI NE MAJAMUL KABEER, HADEES NO-997.