Get Mystery Box with random crypto!

#Tajdare_Khatme_Nubuwat Hadees Shareef Jab Hazrat Mau | Ahle Sunnat Ahle Jannat

#Tajdare_Khatme_Nubuwat

Hadees Shareef

Jab Hazrat Maula Ali Karramallahu Waj'hahul Kareem Ne Rasoolallah ﷺ Ka Hulya Mubarak Bayan Farmaya To Ek Taveel Hadees Bayan Farmaai Aur Farmaya

Apke Dono Shano Ke Darmiyan Mohre Nubuwwat Thi Aur Aap Aakhri Nabi Hai.

Tirmizi Shareef Jild 2 Safah 680 Kitabul Manaqib Baab Maja Fee Sifatin Nabi ﷺ.


Mas'ala

*Qurbani Kis Par Wajib Hai.?*

Qurbani Wajib Hone Ke Liye Sharait Ye Hai, Musalman Hona, Iqamat Hona Yani Musafir Par Qurbani Wajib Nahi, Malik e Nisab Hona.

*Malik e Nisab Kon Hai.?*

Jo Shakhs 200 Dirham Ka Malik Ho Ya Hajat Ke Alawa Koi Aisi Cheez Ka Malik Ho Jis Ki Qimat 200 Dirham Ke Barabar Ho Us Par Qurbani Wajib Hai.

Bahar e Shariat Jild 3 Hissa 15.

*200 Dirham Aur Uski Qimat Kitni Hoti Hai.?*

200 Dirham Takriban 612 Gram Chandi Hoti Hai. Har Shaher Me Chandi Ke Rate Me Fark Hota Hai Google Par Apne Shaher Ka Ek Gram Chandi Ka Rate Maloom Kare Aur Usko 612 Se Multiply Karde Jo Answer Aaega Utna Maal Hone Par Ya Utni Qimat Ka Sona Chandi Hone Par Ya Utni Qimat Ka Zaroorat Ke Alawa Koi Saman Hone Par Qurbani Karna Hogi.

*ISLAMIC GUFTUGU GROUP.*