Get Mystery Box with random crypto!

* SAWAL:- * Asslam Alaikum Hazrat Eid Ki Namaz Se Phle Ishraq | Ahle Sunnat Ahle Jannat

* SAWAL:- *
Asslam Alaikum
Hazrat Eid Ki Namaz Se Phle Ishraq Ki Namaz Pdh Skte Hain

* JAWAB:- *
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Eid Ki Namaze Se Pahle Namaze Chasht Ho Ya Ishraaq Ya Kisi Bhi Qism Ki Nafl Namaz Ada Karna Mutlaqan Makrooh He, Khwah Eidgaah Me Parhe Ya Ghar Me.. Yuñhi Us Par Eid Wajib Na Ho Tab Bhi Uske Liye Namaze Eid Se Pahle Nawaafil Parhna Makrooh He.. Maslan Aurat Agar Chasht Ki Namaz Parhna Chahe, To Eid Ki Namaz Ho Jane Ke Baad Parhe.. Or Agar Koi Parhta He To Use Mana'a Bhi Na Kiya Jayega Magar Bahetar He Ki Eid Ki Namaz Se Pahle Nafl Na Parhi Jaye...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Namaze Eid Se Qabl Nafl Namaz Mutlaqan Makrooh He, Eidgaah Me Ho Ya Ghar Me Us Par Eid Wajib Ho Ya Nahiñ, Yahañ Tak Ki Aurat Agar Chasht Ki Namaz Ghar Me Perhna Chahe, To Namaz Ho Jane Ke Baad Parhe. Or Namaze Eid Ke Baad Eidgaah Me Nafl Parhna Makrooh He, Ghar Me Parh Sakta He Balki Mustahab He Ki Char Rak'ateñ Perhe. Ye Ahkaam Khawas Ke Hai, Awam Agar Nafl Parhe Agarche Namaze Eid Se Pahle Agarche Eidgaah Me Unheñ Mana'a Na Kiya Jaye..
* (Bahare Shariyat, H-4, Eidain Ka Bayan, Mas'ala-6)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_ Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
* 20 Apr 2023, 28 Ramzanul Mubarak 1444*

* SAWAL-O-JAWAB F.T.S grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•