Mera bharat mahan 26 January 1950 Yeh din hame bada pyara Li | Shayari World
Mera bharat mahan 26 January 1950 Yeh din hame bada pyara Likha gya tha samvidhan isi din apna Aaj bhi log manate Hai Utsav is din ka Ban padte hai saare deshbhakt is din Par dikhane sirf jhuthi desh bhakti Fir bhi apna Bharat mahan
Log kharidte hai chhote tirange Jagah jagah lagate hai krne dikhawa Hai kitne bade desh premi weh Par jaise dhal jaye raat aajaye din Fir dikhe unke desh prem hame Rashto par kachdo ke bhati Mile wahi tiranga tumhe un rashto par Fir bhi apna Bharat mahan
Pure saal jab jalaya jata hai tiranga Log laga padte hai nare Bharat ke khilaf Fir na kuchh krte yeh deshbhakt Ghar me bethe tweet krte najar aaye yeh desh bhakt Ek samay tha esa jab hoti thi sachchi deshbhakti Desh ke khilaaf jo bol padta Jala diya jata tha use wahi Aur aaj ham unhe bana pade hai neta Fir bhi apna Bharat mahan
Inquilab Zindabad Bharat mata ki jaye
Shabhi ko meri taraf se Ganatantra Diwas ki Hardik Shubhkamnaye